Monday, 27 February 2012

Pyar ka Mausam

Aaj pyar ka mausam hai......
isliye pyaar ki taalash me nikla hu mai......
khoj raha hu har nazar me usko, mil jaye mujhe wo,...is umeed ke saath
bechain nighaho se kab tak bachti wo nazar.....
aa hi gaya wo din,maine dhund liya us nazar ko..
pechane me use,maine na bhul ki...
uski nazro me dekh...,laga ki maine na bhul ki....
haalaat kuch thik nai tha....usme aur mujme koi mel nai tha....
baatane me maine jara der ki..,is bich maine apni nasal thik ki....
jo jaana jata tha mai kabhi...bure charitra wala.....
un nazaron ko apna banane ke liye....maine apni devil wali image change ki......
Maine aaj use bataya.....wo sun kar un-suna kar gayi...
agle din pyar ko aankho se jataya....wo ankho ko dekhe bin chali gayi....
ye silsila chalta raha...uske jawab ko sune ke liye mai tarasta raha...
phir maine ye tarkeeb apnayi,..chod diya usko ye baat sabko bataayi....
agle din mujhe ek khabar aayi....pyar karti hai wo sirf mujhse,
uski dost ne mujhe bataayi..........
ye sun kar kaano ko sukoon aaya....kyu na kahi usne ye baat itne dino tak?
maine ye poochne ki himmat ki.."kyu nai bataya tumne,.. jo khabar mujh tak pahuchayi"..
usne kaha "dar lagta tha mujhe....."...........usne pehli baar baat kiya mujse...
"dar kiska?" phir poocha maine....Baat badal kar kaha usne......
"Mai pYar NaHi karTi tumse"........
ye kya keh diya tumne..Socha maine man hi man me.........
khabar tumne phir bijwaayi kyu.......Jhoot keh kar.....majak banaya mera tumne!!
Tej Dhaar beh chali aasuon ki.....Aankho ko rok saka naa mai.......

uski yaad.......

kya likhu mai sochta hu yahi, kuch v to nahi hai,mere mann me
teri yaadon ke alawa aur kya hai, jo mujhe tujhse jod sake !
kuch likh v du to tujh tak pahunchau kaise ?
mere har geet me tu hai, par tujhe sunau kaise ?
jo likhta hu,gaata hu,karta hu mai, bekar hain
bekar hain sabhi agar tujh tak pahunchaya na kabhi........
mai bata na saka kabhi, tujhse mohabat kitni hai mujhe,
yahi baat ab chubti hai dil me.....
Waqt gujar chuka hai ab, phir v yaad karta hu tumhe or kahi umeed si bachi hai isliye hasi ke saath har ek dard ko chupa diya hai dil me..........

ek deewana tha

ek ladka tha,12th ke baad usne drop lene ka decision liya aur ek coaching institute me admission karwaya.
3 mahine tak usne khub padhai ki,iska result v aaya aur naye batch ko promote hua.
Wo abhi tak class me dhyan se teacher ki baat sun raha tha,tabhi ek ladki ne class me enter kiya,wo late thi isliye teacher use daat raha tha. Ladke ki nazar us ladki par gayi, us ladki ko dekh kar laga ki aasman se koi pari dharti par aa gayi ho, wo pari pyase ke liye paani jaise aur marte hue ke liye zindagi jaisi thi.Us ladki me jaane kya tha,ki jis ladke ne kabhi kisi ladki ke baare me nai socha tha...wo ab ek ladki ko apna banana chahta tha aur uske liye kuch v karne ke liye tayar tha.
Usko dekhna ladke ka roj ka routine sa ho gaya,padhai jaise bhul gaya ho wo..,hamesha ki tarah ladka use dekh raha tha..tabhi galti se ladki ki nazar ladke se mili...ladki ko ajeeb laga..aur usne palkein neechi kar li,ladke ko khusi hui..is khusi ko paane ke liye wo 100 janam v intezaar karne ke liye tayar tha...par use jyada der rukna nai pada, Ladki ne use phir dekha..is baar dono ki nazarein bahut der tak ek dusre ko dekhti rahi..
Us din ladka bahut khush tha use aisa laga ki usne jannat ka pata lag gaya ho....
Ab wo din v aaya jab ladke ne apne dosto ko bataya uske baare me...uske dost use ladki ka naam lekar chidhane lage.....
Dono ki nazarein ab roj milne lagi..ladke ko laga ki ladki v use pyar karti hai,usne bahut himmat ki use batane ki par nakaam raha, wo darta tha ki agar use ladki ne na keh diya to...
Jaane usne kya socha aur kaha kuch v ho jaye use aaj bata kar rahega ki wo kitna use kitna pyar karta hai. Aaj ladka uske peeche chala..pyar kitna hai ye ladki ko batane chala,bina kuch soche chala..dosto ko bhul kar aage badha jab batane ke liye...Tabhi usne dekha.,wo ek ladke se baat kar rahi thi...
Ladke ko dhakaa laga,use bhul jana hi usne sahi samjha...aur ladki ka peecha chod diya.......

ladke ka naam hai SAM
agle din wo class late aaya,aaj ladki bahut pehle se class me baithi hui thi..Sam ka dil to dhuka tha,par us ladki ko bhulana sam ke liye aasan nai tha.Thodi der baad ladki ko coaching institute ke director ne bulaya..saath me ek ladke ko v bulaya jis se ladki us din baat kar rahi thi.Ab maamla sam ko pata chala ladki use baat nai kar rahi thi....wo ladka ladki ko pareshan kar raha tha aur ladki ne aaj uski complain director se ki thi.Sam ko bahut khusi hui...use uski duniya phir se wapas jo mil gayi thi...sam ke liye aaj khusi ka din tha.....
Par us din ke incident se sam ka confidence v loose hua tha...use dar baith gaya ki agar usne ladki ko propose marne ki koshish ki to baat director tak na chali jaye...phir v wo khush tha ye jaan kar ki wo kisi se comitted nai thi...
Exam ke din paas aane lage, sabhi entrance ke forms bharne me busy ho gaye...sam v padhai me busy ho gaya....jo usne saal bhar padha nai tha, use niptane ka time aa chuka tha. Sam ko us ladki ko propose v marna tha...usne 14th feb ka din chun rakha tha, jis din coaching v band hone wala tha...Usne ladki ko kafi dino se nai dekha tha...bas coaching ke Exams ke din hi sam use dekh pata....ab wo din karib aa gaya...ladki v roj class attend kar rahi thi.......par sam ko kya pata tha ki uske saath kya hone wala hai....wo ladki 14th feb ko class hi nai aayi......
agar aap us ladki se kabhi kahi mile to ye jarur batana ki Sam ko abhi uska intezaar hai.